Monday, December 2, 2013

Hindi Poem: Attempt One

‎Kis rah pe tum chordh aye mujhe,
Yahan aane wale bhi aanjan,
Yanah se jane wale bhi ab aanjan.
Pukaru mai ab kiska naam?
Apne aap ko yaha bhula chuki hun,
Tumhe bhi yahi beth kho chuki hun.

Samye yahan jahan rook sa gaya hai.
Na jeene ke chaht hai, na marne ki wajha hai.
Na koi manzil hai, na hi koi mukam. 
Tere aagosh mai yu bethi yaha,
Jahan bin badal roz aasu behte hain,
Or bin suraj roz muskaan meri khilti hai.

Tere khayalo ko chordh Mera or kon hai,
Ab toh na mere khyal kisi ke ho sakenge,
Or na intazar or kisi ka ho payega.
‎Zid kar ke jo sula na kar sake hum,
Bin baato ke meri kya tu so paye ga?
‎Na mohhobat ki bakwat,
Na nafrat ki ijazat.

Uss hi raah pe janah tumne mera hath thama tha. 
Jiski na tumhe aaj wajhe pata hai,
Na hi ehsaas yaad hai.
Kis rah pe tum chordh aye mujhe,
Yahan aane wale bhi aanjan,
Yanah se jane wale bhi ab aanjan.

No comments:

Post a Comment